• Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 12

  • 著者: Delhi Press
  • ナレーター: Yogita Singh
  • ポッドキャスト

Audible会員プラン 無料体験

会員は、12万以上の対象作品が聴き放題
アプリならオフライン再生可能
プロの声優や俳優の朗読も楽しめる
Audibleでしか聴けない本やポッドキャストも多数
無料体験終了後は月会費1,500円。いつでも退会できます
『Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 12』のカバーアート

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 12

著者: Delhi Press
ナレーター: Yogita Singh
30日間の無料体験を試す

無料体験終了後は月額¥1,500。いつでも退会できます。

  • サマリー

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2022 Delhi Press Patra Prakashan
    続きを読む 一部表示
エピソード
  • प्यार पर पूर्णविराम
    2022/09/15
    Purnima Ajay se bohot pyaar karti thi, dono kaafi samay se saath the aur shaadi bhi karna chahte the magar Purnima ne usse chod diya kyunki wo samajh gayi thi ki Ajay is pyaar mein had se zada ekadhikar ki Bhawna rakhta tha. Wo usse dusre ladko se baat bhi nahi karne deta tha, wo samajh gayi thi ki ye sab aage jaa kar uske liye musibat khadi karega, isliye usne kisi aur ladke se shaadi kar li. Is baat ko 10 saal beet gaye the, ab Purnima 2 bacchon ki maa ban chuki thi aur ek college mein padhati thi. Ek din achanak usse Ajay ka message aaya, aur fir phone. Purnima ko dar tha ki kahi uski male ego pe thes na pahuche isliye wo uske phone utha leti. Ajay usse milna chahta tha aur iske liye 20 taarikh tey ki gayi, tab Purnima bhi kisi kaam se delhi mein thi wo dono ek hotel mein mile aur kareeb aane waale the tab hi uske pati ka phone aaya aur wo hosh mein aa gayi aur usne Ajay se kaha ki unhe kabhi nahi milna chahiye, magar wo nahi maana aur usse message aur phone karta raha. Uske zid karne par Poornima usse aakhri baar milne gayi aur usse pucha ki agar uski biwi aisa karegi toh usse kaisa lagega tab wo samajh gaya aur fir na milne ka wada de diya.
    続きを読む 一部表示
    21 分
  • कहानी : प्रश्नचिह्न
    2022/09/15
    Ambika pe jaan chidakne waale Yash ke vyehvar mein aaye badlav ne Ambica ko pareshan kar diya tha, wo ab apne 4 saal ke bete Ayush ko bhi pyaar nahi dikhata tha. Apne dil ki uljhan suljhane ke liye wo apni saheli Harshita se baat karti thi, jo usse kehti hai ki Yash ke jivan mein zaroor koi doosri aurat aa gayi hai, tabhi wo aisa vyehvar kar rahi hai aur ki usse saboot ikathe karne chahiye. Lekin Ambica ko vishwas nahi hota. Wo ye baat yash ke bhaiya Bhabhi ko bhi batati hai. Is beech Ambica ko ek aurat ka phone aata hai jo usse kehti hai ki wo Yash ko chod de, ye sun kar Ambica samajh jaati hai ki uska pati ka kisi doosri aurat ke saath chakkar chal raha hai. Jab Yash ghar aata hai toh Ambica usse sach puchti hai aur wo toot ke batata hai ki sharab ke nashe mein ek din usse galti ho gayi aur tabse ye aurat usse blackmail kar rahi hai. Ambica ye baat apne jeth jethani ko batati hai, jeth apne police inspector chacha ko sab batata hai. Wo sab sambhal lene ka wada karte hain, idhar Yash apne parivar sahit sheher chod kar Viena waala karyalay sambhalne chala jaata hai. Tab usse ehsas hota hai ki usne ghar waalon se sachai chupa ke galat kiya tabhi aaj wo barbadi ki kagar par khada hai.
    続きを読む 一部表示
    19 分
  • अंतिम मिलन
    2022/09/15
    Aman, Jahnvi ko college ke pehle din se chahta tha, unhone hamesha saath rehne ka iraada kar liya tha aur Jahnvi ne usse wada liya ki wo antim samay mein uski baahon mein dam todegi. Is beech corona fel gaya aur Aman ko doctor hote hue aspatal mein zada samay guzarna padta tha, isliye wo koshish karta tha ki ghar kam jaye taaki uski garvbati patni Jahnvi ko infection na ho jaye. Ek din uski saheli Washington se usse milne aayi, ye sunkar Aman pareshan ho gaya kyunki videsh se aane waale log hi bimaari lekar aa rahe the. Kuch din beet gaye aur Jahnvi ko sukhi khaasi, bukhar wagera shuru hog aye, dawa khaane se bhi bukhar nahi utar raha the. Usse corona ho gaya tha,use admit kiya gaya aur bohot koshish ki gayi par uski halat nahi sudhri. Fir ek din doctoron ne Aman ko bataya ki ab uske paas bas kuch hi ghante bache hain, tabhi usse apna kiya wada yaad aaya aur wo sabke rokne par bhi gloves, gown, mask sab utar kar uske paas gaya aur usse apni baahon mein le liya. Wo janta tha ki ye unki antim mulakat thi.
    続きを読む 一部表示
    11 分

あらすじ・解説

Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2022 Delhi Press Patra Prakashan

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 12に寄せられたリスナーの声

カスタマーレビュー:以下のタブを選択することで、他のサイトのレビューをご覧になれます。