Hazrat Usman Ghani رضی اللہ تعالی عنہ ki shahadat ke baad dushman bahar se hamla nahi kar raha tha, balki wo pehle hi lashkar ke andar chup kar baith chuka tha. In munafiqon ne Maula Ali رضی اللہ تعالی عنہ ki baiyat wafadari ke liye nahi, balki apni saazish ko chupane ke liye ki thi.
Unka asal maqsad Insaaf nahi, balki sacche Musalmanon ke beech jhoothi baatein aur nafrat phaila kar danga-fasad karwana tha. Yehi wo aag thi jisne aage chalkar ummat ko banta aur Karbala ki buniyad rakhi.
Narrated, Hosted, Edited & Audio Designed by
Muhammad Hussain Raza Qadri
A HRQ Studio Production