エピソード

  • अम्मां जैसा कोई नहीं
    2022/08/04
    Anu ka bachpan kaafi pareshaani ke beech guzra tha. Jab vah chhoti thi tab uski ma ki mrityu ho gayi thi. Ghar chalaane ke liye pita ne ek talaqshuda mahila se vivaah kar liya lekin usne Anu ke saath bura vyavahar kiya. Pita Anu ko uske nana-nani ke ghar chhod aaye. Lekin nani ki bhi mrityu ho gayi. Pita ne zimmedaari se bachne ke liye Anu ki shaadi kar di. Kya vah apne sasuraal mein sukh paa sakegi aur vah usko apna lenge?
    続きを読む 一部表示
    17 分
  • अंदाज- रंजना बर्थडे पार्टी को लेकर क्यों परेशान थी?
    2022/08/04
    Ranjana ke sasuraal mein uski saas aur nanad hamesha use taane deti rehti thi. Ranjana unki baat se pareshaan ho jaati aur kayi baar rone bhi lagti. Ek din apni marriage anniversary par usne apne office ke doston ko ghar par party ke liye bulaya. Yeh baat sun kar saas ko gussa aa gaya ki Ranjana ne bina ijaazat liye party kaise rakh li. Lekin ab Ranjana bhi darr kar rehna nahin chaahti thi. Vah apni baat kehne ke liye kya kadam uthaegi?
    続きを読む 一部表示
    16 分
  • अंधविश्वास की बेड़ियां- पाखंड में अंधी सास को क्या हुआ बहू के दर्द का एहसास?
    2022/08/04
    Yeh kahani andhavishwas ke baare mein hai jo aaj bhi hamare samaaj mein ek pareshaani hai. Ek bahu jab shaadi ke paanch saal ke baad bhi garbhawati nahin huyi toh saas ne use ek baba ke paas ilaaj ke liye le jaane ki zidd ki. Bahu jaanti thi ki aise baba ilaaj karne ke bahaane mahilaon ke saath zabardasti shareerik sambandh banane ki koshish mein rehte hain. Vah apne kapdon mein ek chaaku chhupa kar le gayi. Kya vah baba ke jaal se bach sakegi aur apni saas ko sach ka ehsaas dila sakegi?
    続きを読む 一部表示
    16 分
  • अंधेरा आश्रम: क्या बाबा के ढोंग से बच पाई साक्षी
    2022/08/04
    Sushila Devi ke ghar mein pandit aur baba aksar aate rehte the. Vah ek din apni beti Sakshi ko ek baba ka ashirwad lene saath le gayi. Sakshi baba ki sewa mein lag gayi aur kayi baar vah poori raat ashram mein hi rehti thi. Ek din Sushila ko phone aaya ki uski beti hospital mein hai. Wahan pohonch kar pata chala ki vah bachcha giraane aayi thi aur bachche ka baap wahi baba tha. Sushila samajh gayi ki vah baba dhongi hai aur usne Sakshi ko apne jaal mein phansa liya tha.
    続きを読む 一部表示
    12 分
  • अंधविश्वास- राधा विजय के इस बात को सुनते ही टूट गई
    2022/08/04
    Radha bazaar se ghar nahin lauti toh sasuraal-waalon ne police mein report likhwaayi. Aadhi raat ko police ka phone aaya ki vah buri haalat mein hospital mein hai. Usne apne pati Vijay ko bataaya ki uske saath balatakaar hua tha. Yeh sun kar Vijay ka vyavahar badal gaya. Vah apne parivaar ke saath hospital se chala gaya aur Radha ko wahin chhod diya. Radha ke mata-pita ne use sahara diya. Uske pita ne Vijay se kaha ki usne Radha ka apmaan kiya tha aur vah ab kabhi nahin lautegi. Kya Vijay ko apni galti ka ehsaas hoga?
    続きを読む 一部表示
    13 分
  • अनाम कसबे का एंग्री ओल्डमैन
    2022/08/04
    Nago dada ki umr 60 saal ho chuki thi, aur vah kaafi gyani aur vidwan the. Vah Bihar ke rehnewale the aur kuchh saal pehle Jharkhand aaye the. Vah ek karkhane mein kaam karte the. Vah adivasiyon ke saath aksar samay guzaarte the. Ek din vah chawal khareedne ek dukaan par gaye aur chawal ke bhaav ko le kar jhagda karne lage. Ek yuvak unki yeh krantikaari baatein sun raha tha. Vah kaun tha aur vah unki baaton se kis tarah prabhavit ho raha tha?
    続きを読む 一部表示
    14 分
  • अनुत्तरित प्रश्न: प्रतीक्षा और अरुण के प्यार में कौन बन रहा था दीवार
    2022/08/04
    Prateeksha aur Arun ek doosre se pyar karte the. Lekin Prateeksha ke mata-pita ko yeh rishta manzoor nahin tha kyunki abhi Arun ko naukri bhi nahin mili thi. Prateeksha ne kaha ki agar uske mata-pita nahin maane toh vah court marriage kar legi, aakhir unhone bhi toh wahi kiya tha. Uske pita ne yeh baat sun kar use bataaya ki padhai bina poore kiye unhone jab shaadi kar li thi toh unhe kitni pareshaaniyon ka saamna karna pada tha.
    続きを読む 一部表示
    16 分
  • अपने अपने सच
    2022/08/04
    Swarna ne ek akhbaar ke liye kahani likhi aur use apni umr ki ladkiyon par kendrit kiya. Iss umr mein sabse pramukh hoti hai pyar paane ki chaah. Uss kahani mein uske umr ki ladki ko uske pita ki umr ke aadmi se prem ho jaata hai. Uss aadmi ki beti uss ladki ki saheli hoti hai aur uske saath padhti hai. Kya iss kahani mein koi sachchai chhupi huyi thi jise Swarna bataane se darr rahi thi? Swarna ki saheli Latika ka isse kya naata tha?
    続きを読む 一部表示
    49 分