エピソード

  • EP17- Kya Arjun ne Parashurama ko apne raste se hata diya?
    2025/09/15

    Mahishmati mein Parshuram ki lokpriyata barh rahi thi, aur Dattatreya aur Maharani Meenakshi unke paksh mein khade the. Isse Sahasrarjun ghabra gaya aur apni hi patni Meenakshi se takra gaya. Meenakshi ne uske anyaay aur adharm par khul kar virodh kiya, jisse dono ke beech kathin sangharsh hua. Baad mein Parshuram Meenakshi se milte hain, lekin Sahasrarjun unhe gherne ke liye apni sena bhej deta hai. Parshuram apne shishyon ke saath sena ko hara dete hain aur Meenakshi ko surakshit nikal le jaate hain. Iske baad Mahishmati mein hatyaon aur aatank ka silsila shuru ho jata hai Episode suspense mein khatam hota hai – kya Parshuram sach mein bandi bana liye gaye hain ya yeh sirf Sahasrarjun ka bhram hai? Aur kya Loma samay par un tak pahunch paayegi?

    続きを読む 一部表示
    10 分
  • EP16-Arjun kyu hua Gusse se laal?
    2025/09/15

    Parshuram apni yatra ke dauraan logon ko dharm aur maryada ki taraf jagate hain. Sahasrarjun apni sena ke saath aur bhi kathin ho jaata hai, par samaj ke andar Parshuram ke prati aastha aur samarthan barhta hai. Is dauraan naye shishya aur vanvasi bhi unke mission se judte hain. Kahani ek naye mor par khatam hoti hai – kya Parshuram ka saamna seedha Sahasrarjun se hoga, ya wo pehle apni sena aur samarthan ko aur mazboot banayenge?

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP15-Parashurama Kaam Utsav mein shamil honge?
    2025/09/15

    Parshuram apni maa Renuka se seekhi vidya aur apni shakti ke saath apna mission aage badhate hain. Loma surakshit tarah se apne sasural, Omkar kshetra, pahunch jaati hai jahan Jamadagni aur Renuka uska bhavya swagat karte hain. Dusri taraf Parshuram yatra ke dauraan ek purahit ke ghar rukte hain, par wahan dekhte hain ki dharm aur vedic parampara khatm ho chuki hai, aur uski jagah bhog-vilas aur “kamotsav” jaise paap chal rahe hain. Purahit batata hai ki yeh sab Sahasrarjun ki rajneeti aur anyay ka nateeja hai. Parshuram samajhte hain ki yeh path-bhrasht parampara samaaj ko barbadi ki taraf le ja rahi hai. Episode yeh prashn chhod kar khatam hota hai – kya Parshuram samajh ko dharm aur vedic maryada ki raah par wapas laa payenge?

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP14-Kya Parashurama Ka Saamna Kar Paega Arjun?
    2025/09/15

    Bhajan Parshuram ko Bhrigukalyan ki sampatti ki khabar deta hai, par Parshuram ke liye asli taqat bhṛiguvanshiyon ka support tha. Wo Loma ko apne mata-pita ke paas bhejne ka faisla karte hain. Dusri taraf Sahasrarjun Dattatreya ko Mahishmati le jaakar apna dikhawa karna chahta hai, par asli niyat Bhṛiguvanshiyon ko khatam karna hai.

    Loma apne past aur Sahasrarjun ki zid se pareshaan ho jaati hai, par Parshuram use himmat dete hain aur Omkar kshetra bhejte hain. Raaste mein Parshuram ek sher ko binaa maare rok dete hain, jisse ek vanvasi prabhavit ho kar unke saath jud jaata hai.

    suspense pe khatam hota hai – kya Parshuram aur Sahasrarjun ki sena aamne-samne aayegi, aur kya Loma apne sasu-sasur tak surakshit pahunch paayegi?

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP13-Kya Parashurama apne Parivaar ko mill paenge?
    2025/09/15

    Parshuram apni shiksha aur astr-vidya se shastra guru bante hain aur kehte hain ki asli shakti atma-shakti hai. Narmada ghaati ke yuva aur dhan unke saath judte hain taaki sena ban sake. Vyapari Bhrigukalyan apni sampatti unhe sahasrarjun ke khilaf dena chahta hai. Parshuram aur Loma tapasya mein lage hain, par ab wo mata-pita ka ashirwad lene ka nishchay karte hain. Kahani suspense mein chhodti hai – kya wo surakshit mil paayenge ya Sahasrarjun tak unki khabar pahunch gayi hai?

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP12-Kya Arjun Parashurama se nahi darta?
    2025/09/15

    Parshuram ki kathin Shiv-sadhna poori hoti hai aur Mahadev swayam unhe apna dhanush aur akshay tuniir dete hain – ab woh ek naye roop mein janm lete hain. Unki is divya shakti se poore van kshetra mein nayi jagriti aa jaati hai, jabki Kartavirya Arjun apne dar ko chhupate hue bhi unka saamna karne ki taiyari karta hai. Isi beech Kartavirya ki antar-aatma aur ‘Saty’ ki aawaz usse uske apraadh aur bhool yaad dilati hai – ab shuru hoti hai asli takkar ki countdown!

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP11-Parashurama ne Bhagwan SHIV se kya manga?
    2025/09/15

    Parshuram apne maqsad ke liye Aravalli ki ek guha mein 40 din ki kathin Shiv-sadhna shuru karte hain. Jab unki tapasya ki shakti Mahishmati tak pahunchti hai, Sahasrarjun aur Maharani Meenakshi ke beech tension aur debates badh jaati hain. Is beech Parshuram ki tapasya apne charam par hoti hai – aur kaha ja raha hai ki Mahadev aur Mata Parvati swayam unke saamne prakat hone wale hain!

    続きを読む 一部表示
    9 分
  • EP10-Parashurama ke Krodh ka Parinaam!
    2025/09/15

    Mahishmati mein Mahārshi Atri aur unke shishyon ka aana ek nayi tension create karta hai. Kritavirya unhe rokne ki koshish karta hai, par Atri ke putra Durvasa khud samrat ke saamne khade ho jaate hain aur unka gussa Mahishmati ki sena par toot padta hai. Maharani Meenakshi ko khud aage aakar shanti ki koshish karni padti hai, jabki Parshuram door se is poore khel ko samajh rahe hain – yeh sab unki badi strategy ka hissa lagta hai.

    続きを読む 一部表示
    7 分