
S3 EP 10 - The Truth
カートのアイテムが多すぎます
カートに追加できませんでした。
ウィッシュリストに追加できませんでした。
ほしい物リストの削除に失敗しました。
ポッドキャストのフォローに失敗しました
ポッドキャストのフォロー解除に失敗しました
-
ナレーター:
-
著者:
このコンテンツについて
Rishi ne Vikram aur Nikita ko terrace par dekha, toh uska mann ghabra gaya. Yeh sab dekh kar dono ne koi bahana bana diya, aur Vikram ne unhe wahan se jaane ko kaha. Rishi pure raste Nikita se poochta raha ki kya hua, lekin Nikita ne chup rehna hi theek samjha. Nikita usse bina kuch kahe ghar chali gayi. Rishi bhi confused tha, tabhi Hriday ka call aaya. Excitement se bhara Hriday batata hai ki aaj usse Shloka ke jawab ka pata chalega. Rishi use motivate karta hai, lekin jab Shloka aakar Hriday ka proposal mana kar deti hai, toh voh toot jaata hai. Hriday apni feelings Rishi se share kar raha hota hai, tabhi Nikita wahan aati hai aur ek badi sachai batati hai—Vikram uska saga chacha hai. Rishi abhi is baat ko samajh hi raha hota hai ki Vikram ka call aata hai. Beachside milne par Vikram sab sach bata deta hai. Har baat sunne ke baad bhi, Rishi apna faisla le leta hai—Vikram ko Agra le jaana hai. Uski zid aur mohabbat ke aage Vikram ko bhi maan na padta hai.