エピソード

  • Episode 25: Sushen Vaidya ki Katha
    2021/12/20
    Lakshman ji ke Praan bachane wale Sushen Vaidya ke jeevan ki aur bhi kahaniya Ramayana mein kaafi mahtva rakhti hain lekin unke baare mein aam logon ko nahi pata hai. Ravan Vadh ke baad Shri Ram ke nanihal mein basne wale Sushen Vaidya ki poori katha janiye,vistaar se.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 24: Matang ki Katha
    2021/12/20
    Shabri ke Guru aur mahaan Sant Matang ki katha bahut rochak hai. Unka Jikra Ramayana mein kai baar aata hai lekin unki katha ko kabhi pramukhta se dikhaya nahi gaya hai. Hum aapke liye lekar aaye hain Mahan Tapasvi Matang Rishi ki katha jinke shrap ke kaaran hi Baali se Sugreev ke pranon ki raksha ho paayi thi. Janiye poori katha,vistaar se.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 23: Sumitra ki Katha
    2021/12/20
    Ramayana mein adarsh Maa ka koi sabse bada udahrana hain Mata Sumitra. Apne ek bete Lakshman ko Shri Ram ki seva mein aur doosre bete ko Bharat Ji ki Seva mein laga diye. Sumitra Ji ka Jeevan khud Anyaay sehte hue guzra lekin unhone apni mahantaa ke kaaran fir bhi itna bada yogdaan dia jiski kalpna bhi nahi ki ja sakti. Jaaniye Mata Sumitra ki katha,vistaar se.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 22: Nal Kuber ki Katha
    2021/12/20
    Dhanpati Kuber ka beta jiske shraap ke kaaran Ravan nahi kar paaya kisi bhi mahila se jabardasti. Nal Kuber ki hone wali patni Rambha ke saath Dushkarm karne wale Ravan ne iski saja bhi bhogi. Nal Kuber ki kahani Ramayan ka bahut zaroori hissa hai lekin adhik prachlit nahi hai. Jaaniye Nal Kuber ki katha,vistaar se.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 21: Kekasi ki Katha
    2021/12/20
    Ravan ki Mata ke baare mein log jyada nahi jaante. Rishi ka putra hokar bhi Ravan kyon itna bhayank Daitya bana iske peeche sabse badi wazah thi uski Maa Kekasi. Ramayana ke is anjaan paatra ki katha janiye
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 20: Sumali ki Katha
    2021/12/20
    Ravan ka Nana aur Lanka par raaj karne wala pehla asur. Ravan ki buraai mein bada yogdaan Sumali ka bhi hai. Sumali ki katha Vardan ke Shraap mein badalne aur pratishodh ki kahaani hai. Jaaniye Ravan ke Nana Sumali ki katha
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 19: Raja Anaranya ki Katha
    2021/12/20
    Kya aap jaante hain ki Ayodhya ke ek raja ka vadh Ravan ne kar dia tha? Shri Ram ke poorvaj aur Adbhut Veerta dikhaane wale Raja Anaranya ki katha Ramayana ke ek gumnaam naayak ki mahaan kahani hai. Jaaniye kaun the Raja Anaranya aur kya hai unki poori katha, vistaar se.
    続きを読む 一部表示
    15 分
  • Episode 18: Kabandh ki Katha
    2021/12/20
    Bina Sar wala bhayanak Rakshas Kabandh kaun tha jisne Ram aur Lakshman ki hatya karne ki koshish ki. Kaise ek sundar Gandharv bana Bhayanak Kabandh. Ram ji Aur Sugreev ki mitrata ka kaaran tha Kabandh. Jaaniye Ramayana ke is anjaan paatra ki poori katha.
    続きを読む 一部表示
    15 分