• Desh Ke Naam Par Baat Gayi Janta
    2025/08/06
    Jab ek desh do hisso mein baat gaya – dharm ke naam par, raajneeti ke naam par. Ek taraf Mahatma Gandhi ahinsa ke marg par chalne wale, aur doosri taraf Bhagat Singh ek naya Bharat dekhne ka sapna lekar chalte hue. Jab Hindu-Muslim dange bhadak rahe the, jab ahinsa aur hinsa ke beech uljhan thi, tab Gandhi ji ka Asahyog Andolan bhi toot gaya. Is kahani mein suniye ek aise mod ki dastaan, jahan Gandhi, Lala Lajpat Rai, Nehru, Bhagat Singh – sabke raaste alag ho gaye. Ek kahani jahan sapne, vichar, aur jazbaat takraate hain. Jahan ek 16 saal ka ladka – Bhagat Singh – khud se ek sawaal poochhta hai: Azadi ke liye sirf sapne kaafi hain, ya kuch kar dikhana bhi zaroori hai?
    続きを読む 一部表示
    12 分
  • Jab Ek Aag Ne Azaadi Ka Rukh Badal Diya #Kranti
    2025/08/06
    Jab Chauri Chaura mein hinsa bhadki, Gandhi ji ne andolan wapas le liya — lekin is faisle ne Bhagat Singh jaise yuvaon ke dil mein sawal paida kar diye. Ahimsa ke raaste par chalte desh ka kranti se takraav yahin se shuru hota hai. Yeh kahani hai ek faisle ki, jo azaadi ke safar ka rukh badal deta hai.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Lahu Se Likhi Azaadi | Bhagat Singh I Azaadi ki Jung
    2025/08/05
    Bhagat Singh: Soch se Kranti ka SafarAngrezon ki neend uda dene wala Asahyog Andolan har kona jagaa raha tha… aur Punjab ki mitti mein ek chhota sa ladka – Bhagat Singh – kranti ke beej bone laga tha. Is Fever Stories ke powerful episode mein, suniye kaise Bhagat Singh, apne pita Kishan Singh ke sapno, Gandhi ji ke andolanon, aur apne doston ke jazbe se prabhavit hokar, ek krantikari banne ki raah par chalte hain. Yeh kahani hai ek aise daur ki, jab Bharat ke naujawan sirf talwar nahi, soch se bhi kranti karna chahte the. School ke natak se lekar police ke saamne takraav tak — har kadam par Bhagat Singh ne dikhaya apna jazba, bina dare, bina ruke. 🎙️ Kya Bhagat Singh hinsa ka raasta chunenge?Kya soch, talwar se zyada balwaan ho sakti hai? 🔔 Suniye abhi. Save karein playlist ko aur jud jaayein humare saath har naye episode mein.
    続きを読む 一部表示
    12 分
  • Khilafat Se Inqilab Tak #azadikaamritmahotsav
    2025/08/05
    Gandhi ji ne jab Khilafat aur Non-Cooperation Movement chheda, usey apna sabse bada “Brahmaastra” kaha. Par kya yeh daav sach mein desh ko azaadi ke kareeb le gaya, ya isne ek naye toofan ko janam diya? Iss powerful episode mein, suniye Bhagat Singh ki kahani Tirange ki zubaani, Ashutosh Rana ki awaaz mein. Yeh kahani hai us daur ki, jab ek taraf Gandhi ji ne ‘one-year Swaraj’ ka sapna dikhaya, aur doosri taraf ek jawaan Bhagat Singh ne us sapne ke peechhe chhupe sach ko pehle hi samajh liya. Is daastan mein aayenge Dr. B.R. Ambedkar bhi, jinhone is andolan ke nateejon ko door se dekh liya tha. Kya yeh aandolan Angrezi hukumat ki kamar tod paya? Ya isne Bhagat Singh jaise krantikaarion ko ek alag raasta chune par majboor kar diya? Suniye Fever Stories ka yeh naya chapter – Ek waqt ki sachchai, jab har Hindustani ke dil mein azaadi ka junoon ubhar raha tha… aur umeed dheere-dheere niraasha mein badal rahi thi.
    続きを読む 一部表示
    11 分
  • Bhagat Ne Kyun Jalayi Kitaabein? Ek Krantikari Ki Shuruaat I Azad Hind #krantikari
    2025/08/04
    "Jab ek 12 saal ka bachcha khoon se bhara maidan dekhta hai… toh woh sirf bachcha nahi rehta." Bhagat Singh ke andar krantikari ka beej tabhi boya gaya tha, Jallianwala Bagh ke baad. Aur jab Gandhi ji ne Non-Cooperation Movement wapas liya, Bhagat ne apni angrezi school ki kitaabein jala di. Ek khud se liya hua sankalp ki yeh azaadi asaan nahi hogi. Iss episode mein jaanein Bhagat Singh ki kahani ka woh mod jahan se unka safar ek sachche krantikari ki taraf shuru hota hai.
    続きを読む 一部表示
    13 分
  • Jallianwala Bagh Ne Bhagat Ko Badal Diya | AZAD HIND The Bhagat Singh Story
    2025/08/04
    "Ek aisa waqt tha jab Gandhi dhoti mein aaye aur Bhagat Singh ne mitti mein kranti dhoondh li." 1916 se lekar 1919 tak ke kuch saal jahaan ek taraf Gandhi ji ke satyagrah se desh jag raha tha, toh doosri taraf Bhagat Singh apne andar ubalti hui kranti ko samajhne laga tha. Kaise Bhagat Singh ne Gandhi ki baaton se prerna li… lekin phir sawal uthaye? Yeh kahani hai udte hue aasman ke neeche khadi ek chhoti si roshni ki, jo aage chal kar poore desh ki mashaal ban gayi. Yeh kahani hai Bhagat Singh ke pehle sabak ki.
    続きを読む 一部表示
    14 分
  • Chacha Ajit Singh Ne Bhagat Ke Kaanon Mein Inquilab Foonka
    2025/08/01
    Bhagat Singh ki kahani shuru hoti hai 23 saal pehle, jab ek nanna sa kranti ka beej Banga gaon, Punjab province ke Lyalpur district me boya gaya. Janam ke din se hi uske ghar me kranti ka mahaul tha – bapu aur chacha dono azaadi ke sipahi. Chacha Ajit Singh ke kandho par khilte hue Bhagat ke kaano me ‘Inquilab’ ki goonj daal di gayi. Kartar Singh Sarabha ka asar, Kranti ka rang, aur ek nannhe kranti veer ki pehli daastaan – suno Azad Hind ke is episode me. #BhagatSingh #AzadHind #TirangeKiZabani #Krantikari #KartarSinghSarabha #AzadiKeVeer #IndianHistory #BhagatSinghKiKahani #PodcastIndia #AzadHindSeason2 #HindustanKiAzaadi #KrantiKaSafar #FreedomFighterStories #BhagatSinghChildhood [Bhagat Singh Story, Azad Hind Podcast, Tirange Ki Zabani, Krantikari Kahani, Kartar Singh Sarabha, Bhagat Singh Childhood, Azadi Ke Veer, Hindustan Ki Azaadi, Bhagat Singh Janam Kahani]
    続きを読む 一部表示
    13 分
  • Aakhri Saans, Aakhri Inquilab
    2025/08/01
    23rd March 1931, Lahore Central Jail. Yeh kahani hai us krantikari ki jise maut se dar nahi tha, jise sirf apni kitaab chahiye thi, aur apne antim pal tak, jiske hothon par sirf ek hi naara tha: “Inquilab Zindabad!” Is episode mein suniyega Bhagat Singh, Rajguru aur Sukhdev ke antim din ki woh ankahee baatein , ek kranti ki tayyari, ek shaant sher ki muskaan, aur jail ke har kaidi ke dil se nikli ek hi dua. Aur jab Bhagat Singh ne aankhon par kaala patti bandhi, unki aankhon mein ek sapna ab bhi zinda tha , Azaadi ka sapna. Ek dil ko choo jaane waali kahani, jahan Tiranga khud keh raha hai, "Main us din uske saath tha..."
    続きを読む 一部表示
    10 分